wahi ijz-e-bandagi hai wahi naz-e-astana main yaqin kaise kar lun ki badal gaya zamana ye hamara haq hai logo ye hamari zid nahin hai jo ye gulsitan rahega to rahega aashiyana ye bahaar ka hai mausam magar is ko kya kahen hum abhi andalib-e-gulshan ki nawa hai baghiyana meri azmat-e-wafa se bhi wo mutmain nahin hain wahi jis ke jaur-e-paiham ka hai mo'tarif zamana mujhe tajrabaat-e-gham ne ye ada sikhai 'jauhar' na kisi se dushmani hai na kisi se dostana