ye saneha hai bhala aur kis ke sar jaana

ye saneha hai bhala aur kis ke sar jaana
hawa ka waqt se chalna faza thahar jaana

nai nahin hai ye tanhai mere hujre ki
maraz ho koi bhi hai chaaragar se dar jaana

yahi hai zist ki pahchan maut se pahle
tamam tarah ki tanhaiyon se bhar jaana

tamam umr guzarna siyah lamhon se
phir ek sham nai raushni se bhar jaana

kisi ke khwab se chalna kisi ke khwab talak
kisi ki jagti aankhon mein ghut ke mar jaana

ajib ranj hai sanson ka aaj dhadkan se
ki ek nafas ke liye har nafas hai mar jaana

tamam shauq se kate gae darakht yahan
tamam dard se hai aadmi ko bhar jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close