wahshat hai bahut kam to hai zanjir ziyaada chhota sa mera khwab hai tabir ziyaada kya jaan meri sirf sulagne ke liye hai kije na mere jism ki tafsir ziyaada kis mod pe diwan ke main ruk sa gaya hun 'ghaalib' se nazar aane laga 'mir' zyaada karta hun isi waste tadbir bahut kam har kaam mein kaam aati hai tabir ziyaada kab tak ye mera zoam ye ehsas rahega duniya mein bahut khub hai kashmir ziyaada