wo bad-dua use samjhe agar dua likkhun ab aise shakhs ko main apna haal kya likkhun kisi ka zauq-e-samaat qusur-war nahin main kyun na harf-e-tamanna ko be-sada likkhun ab aate lamhon ke aasar ye batate hain jo waqt bit gaya us ko hadsa likkhun mujhe talluq-e-khatir ho kya zamane se kisi ke nam bhi khat ho tera pata likkhun isi khayal se fikr-e-sukhan mein ghaltan hun main chahta hun ki mazmun koi naya likkhun ye khud-satai ke pahlu ye ehtiyat 'hayat' kabhi to saf koi apna waqia likkhun