wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin dil jalane ke alawa koi chaara hi nahin zor-e-wahshat bhi agar kam ho to chalna hai mudam sar chhapane ke liye dasht mein saya hi nahin jal ke hum rakh hue hain ki bane hain kundan jauhari ban ke kisi shakhs ne parkha hi nahin gard-e-shohrat ko bhi daman se lipatne na diya koi ehsan zamane ka uthaya hi nahin meri aankhon mein wahi shauq-e-tamasha tha 'naim' us ne jhuk kar meri taswir ko dekha hi nahin