yaqin kaise karunga guman mein rahta hun charagh hun kisi andhe makan mein rahta hun chahaar samt ujala hai mere hone se main har taraf hun magar darmiyan mein rahta hun mujhe talash karo mujh se guftugu kar lo mein apne harf mein apne bayan mein rahta hun haqir sa mera kirdar hai kahani mein misal-e-gard kahin karwan mein rahta hun sada bhi apni hi aati hai mere kanon mein jahan bhi rahta hun apne guman mein rahta hun na subh koi yahan aur na sham hai apni kisi se kaise kahunga kahan main rahta hun na baam-o-dar hain na diwar hai koi jis ki main aaj-kal kisi aise makan mein rahta hun mujhe bhi yaad karega kabhi koi 'hamdam' kahin to main bhi kisi dastan mein rahta hun