waisa kahan hai hum se jaisa ki aage tha tu auron se mil ke pyare kuchh aur ho gaya tu chaalen tamam be-dhab baaten fareb hain sab hasil ki ai shukr lab ab wo nahin raha tu jate nahin uthae ye shor har sahar ke ya ab chaman mein bulbul hum hi rahenge ya tu aa abr ek do dam aapas mein rakhen sohbat kudhne ko hun main aandhi rone ko hai bala tu taqrib par bhi to tu pahlu tahi kare hai das bar id aai kab kab gale mila tu tere dahan se us ko nisbat ho kuchh to kahiye gul go kare hai dawa khatir mein kuchh na la tu dil kyunke rast aawe dawa-e-ashnai dariya-e-husn wo mah-e-kashti-ba-kaf gada tu har fard yas abhi se daftar hai tujh gale ka hai qahr jab ki hoga harfon se aashna tu aalam hai shauq-e-kushta-e-khilqat hai teri rafta jaanon ki aarzu tu aankhon ka muddaa tu munh kariye jis taraf ko so hi teri taraf hai par kuchh nahin hai paida kidhar hai a khuda tu aati ba-khud nahin hai baad-e-bahaar ab tak do gam tha chaman mein tak naz se chala tu kam meri aur aana kam aankh ka milana karne se ye adaen hai muddaa ki ja tu guft-o-shunud aksar mere tere rahe hai zalim muaf rakhiyo mera kaha-suna to kah sanjh ke mue ko ai 'mir' roin kab tak jaise charagh-e-muflis ik-dam mein jal bujha to