wahshat usi se phir bhi wahi yar dekhna pagal ko jaise chand ka didar dekhna is hijrati ko kaam hua hai ki raat din bas wo charagh aur wo diwar dekhna panw mein ghumti hai zamin aasman talak is tifl-e-shir-khwar ki raftar dekhna ya-rab koi sitara-e-ummid phir tulu kya ho gae zamin ke aasar dekhna lagta hai jaise koi wali hai zuhur mein ab sham ko kahin koi mai-khwar dekhna is wahshati ka haal ajab hai ki us taraf jaana bhi aur jaanib-e-pindar dekhna dekha tha khwab shaer-e-momin ne is liye tabir mein mila hamein talwar dekhna jo dil ko hai khabar kahin milti nahin khabar har subh ek azab hai akhbar dekhna main ne suna hai qurb-e-qayamat ka hai nishan be-qamati pe jubba-o-dastar dekhna sadiyan guzar rahi hain magar raushni wahi ye sar hai ya charagh sar-e-dar dekhna is qafile ne dekh liya karbala ka din ab rah gaya hai sham ka bazar dekhna do chaar ke siwa yahan likhta ghazal hai kaun ye kaun hain ye kis ke taraf-dar dekhna