wahshaten kaisi hain khwabon se ulajhta kya hai ek duniya hai akeli tu hi tanha kya hai dad de zarf-e-samaat to karam hai warna tishnagi hai meri aawaz ki naghma kya hai bolta hai koi har-an lahu mein mere par dikhai nahin deta ye tamasha kya hai jis tamanna mein guzarti hai jawani meri main ne ab tak nahin jaana wo tamanna kya hai ye meri ruh ka ehsas hai aankhen kya hain ye meri zat ka aaina hai chehra kya hai kash dekho kabhi tute hue aainon ko dil shikasta ho to phir apna paraya kya hai zindagi ki ai kadi dhup bacha le mujh ko pichhe pichhe ye mere maut ka saya kya hai