viran sarae ka diya hai jo kaun-o-makan mein jal raha hai ye kaisi bichhadne ki saza hai aaine mein chehra rakh gaya hai khurshid misal shakhs kal sham mitti ke supurd kar diya hai tum mar gae hausla tumhaara zinda hun main ye mera hausla hai andar bhi is zamin ke raushni ho mitti mein charagh rakh diya hai main kaun sa khwab dekhta hun ye kaun se mulk ki faza hai wo kaun sa hath hai ki jis ne mujh aag ko khak se likha hai rakkha tha khala mein panw main ne raste mein sitara aa gaya hai shayad ki khuda mein aur mujh mein ek jast ka aur fasla hai gardish mein hain kitni kaenaten bachcha mera panw chal raha hai