wo khwab khwab faza-e-tarab nahin aai ajib hi thi wo shab phir wo shab nahin aai jo jism o jaan se chali jism o jaan talak pahunchi wo mauj-e-garmi-e-rukhsar-o-lab nahin aai to phir charagh the hum be-charagh raaton ke palat ke guzri hui raat jab nahin aai ajab the harf ki lazzat mein jalne wale log ki khak ho gae khu-e-adab nahin aai jo abr ban ke barasti hai ruh-e-viran par bahut dinon se wo aawaz-e-rab nahin aai sada lagaen aur apna mazaq udwaen ye ahl-e-dard pe uftad kab nahin aai kiya hai apne hi qadmon ne paemal bahut ye hum mein kaj-kalhi be-sabab nahin aai