zakhmon ne mujh mein darwaze khole hain main ne waqt se pahle tanke khole hain bahar aane ki bhi sakat nahin hum mein tu ne kis mausam mein pinjre khole hain barson se aawazen jamti jati thin khamoshi ne kan ke parde khole hain kaun hamari pyas pe daka dal gaya kis ne mashkizon ke tasme khole hain warna dhup ka parbat kis se katta tha us ne chhatri khol ke raste khole hain ye mera pahla ramzan tha us ke baghair mat puchho kis munh se roze khole hain yun to mujh ko kitne khat mausul hue ek do aise the jo dil se khole hain mannat manne walon ko malum nahin kis ne aa kar ped se dhage khole hain dariya band kiya hai kuze mein 'tahzib' ek chabi se sare tale khole hain