waise to the yar bahut par kisi ne mujhe pahchana tha tum ne bas ek samjha mujh ko tum ne bas ek jaana tha tum bin sajni jiwan apna suna aangan tuta sapna dil ko tum se rah thi utni hum ne kab ye jaana tha main to papi meri khatir apna sab kuchh dan kiya kyun duniya jaisi pyari basti aise chhod ke jaana tha maut aur dil par kisi ko qabu aae to apni marzi aae meri khatir jaan ganwana yaro ek bahana tha main ne yaro tum se suna tha waqt ka marham bhar de har gham agli pichhli sari baaten mujh ko bhul hi jaana tha bhor ka bichhda sanjh ko lauta apne kiye par pahron roya dil ki bina tut gai thi phir bhi tum ko gana tha