wo nigahen kya kahun kyun kar rag-e-jaan ho gain dil mein nashtar ban ke dubin aur pinhan ho gain thin jo kal tak jalwa-afrozi se sham-e-anjuman aaj wo shaklen charagh-e-zer-e-daman ho gain ek nazar ghabra ke ki apni taraf us shokh ne hastiyan jab mit ke ajza-e-pareshan ho gain dam ruka tha jis ki uljhan se mere sine mein aah phir wahi zulfen mere gham mein pareshan ho gain phunk di ek ruh dekha zor-e-ejaz-e-junun jitni sansen main ne lin tar-e-gareban ho gain ishq ke qisse ko hum sada samajhte the magar jab waraq ulte to aankhen sakht hairan ho gain chand taswiren meri jo mukhtalif waqton ki thin baad mere zinat-e-diwar-e-zindan ho gain ud ke dil ki khak ke zarre gae jis jis taraf rafta rafta wo zaminen sab bayaban ho gain aaine mein aks hai aur aks mein jazb-e-khalish dil mein jo fansen chubhin taswir-e-mizgan ho gain us ki sham-e-gham pe sadqe ho meri subh-e-hayat jis ke matam mein teri zulfen pareshan ho gain sham-e-wada aaiye to aap us ki fikr kya phir bana dunga agar zulfen pareshan ho gain kis dil-awara ki mayyat ghar se nikli hai 'aziz' shahr ki aabaad rahen aaj viran ho gain