waiz-e-shahr khuda hai mujhe malum na tha yahi bande ki khata hai mujhe malum na tha gham-e-dauran ka mudawa na hua par na hua hath mein kis ke shifa hai mujhe malum na tha naghma-e-nai bhi na ho bang-e-bat-e-mai bhi na ho ye bhi jine ki ada hai mujhe malum na tha main samajhta tha jise haikal o mehrab o kunisht mera naqsh-e-kaf-e-pa hai mujhe malum na tha apne hi saz ki aawaz par hairan tha main zakhma-e-saz naya hai mujhe malum na tha jis ki ima pe kiya shaikh ne bandon ko halak wahi bandon ka khuda hai mujhe malum na tha khutba targhib-e-halakat ka rawa hai ai dost sher kahne ki saza hai mujhe malum na tha shab-e-hijran ki daraazi se pareshan na tha ye teri zulf-e-rasa hai mujhe malum na tha wo mujhe mashwara-e-tark-e-wafa dete the ye mohabbat ki ada hai mujhe malum na tha chehra khole nazar aati thi urus-e-gul-nar munh pe shabnam ki rida hai mujhe malum na tha kufr o iman ki haden kis ne tayyun ki thin is pe hangama bapa hai mujhe malum na tha yahi mar-e-do-zaban mera lahu chat gaya rahnuma ek bala hai mujhe malum na tha ajab andaz se tha koi ghazal-khwan kal raat 'abid'-e-shoala-nawa hai mujhe malum na tha