waiz mariz hun main kisi ki nigah ka mujh par asar na hoga tere intibah ka taswir un ke aariz-e-zeba ki hai sahar raat ek aks hai mere haal-e-tabah ka un ko kiya pasand to khud ho gaya pasand aalam hai mo'tarif mere zauq-e-nigah ka nur-e-mohammad-e-arabi mere dil mein hai surma hai meri aankh mein yasrib ki rah ka jin ki jabin ne sajda-e-khak-e-haram kiya uncha hai sab se gosha unhin ki kulah ka ai zauq-e-did shan-e-shab-e-mahtab dekh aaina hai ye husn ki jaulan-gah ka go mujh ko hasrat-e-karam-e-mustaqil nahin khwahan hai dil magar sitam-e-gah-gah ka