wo dil jo kushta-e-gham-e-sud-o-ziyan na tha

wo dil jo kushta-e-gham-e-sud-o-ziyan na tha
shaista-e-nawazish-e-daur-e-jahan na tha

kab mujh ko lutf-e-ahl-e-mohabbat na tha nasib
kab mera dil mataa-e-gham-e-dostan na tha

juz teri yaad ke na thi dil-soz koi yaad
juz tere gham ke dil pe koi gham giran na tha

dil aur gham ke rabt ne majbur kar diya
yun warna har qadam pe kabhi imtihan na tha

wo mil gaya hai ab mujhe apni khabar ho kyon
thi us ki justuju to ye banda kahan na tha

tum to har ek husn ko pahchante ho khub
gul ki chatak mein kya mera husn-e-bayan na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close