wajud ko jigar-e-mo'tabar banate hain alam pe hath to nezon pe sar banate hain chaman bhi ho koi amboh-e-khar-o-khas jaise ye kar-khane to barg o samar banate hain hawa ka tabsira ye sakinan-e-shahr pe tha ajib log hain pani pe ghar banate hain qarin-e-aql hai kya koi sochta hi nahin khabar udane se pahle khabar banate hain nahin ye shart ki sab tez-gam ho jaen jo dida-war hain unhen ham-safar banate hain kadi ho dhup to do phul pyar ke hans kar tapsida rahon mein shakh-e-shajar banate hain kamal-e-kibr se kahta tha chaaragar mera ki hum tufang o sinan pusht par banate hain kabhi sukun kabhi josh-e-junun kabhi hairat mera mizaj mere kuza-gar banate hain kiya rahin-e-hunar hum ko na-rasai ne udas banhon mein shams o qamar banate hain khayal-e-khair hasinon mein hai ki waqt-e-khiram zamin ko madan-e-lal-o-guhar banate hain