wallah in shahidon ka mear dekh kar hai marg-e-shauq aur siwa dar dekh kar un par bhi khul saka na ufuq ka tilismi raaz hairan-kun karishma-e-fankar dekh kar shoridgi-e-abla-pai ke bawajud jazbe na kam hue rah-e-pur-khar dekh kar is majra-e-lutf pe pahron sukut-e-shab hairan tha khud ko apna hi gham-khwar dekh kar daman chhuda na pae dam-e-sair apna hum kanton ki anjuman ka bhi israr dekh kar patthar tarashne ka hunar jaanta tha main par chup tha but-parast kharidar dekh kar 'hassan' sikho aur zara shairi ka fan 'ghaalib' 'jigar' 'firaq' ke ashaar dekh kar