yun hi guzre na raat KHushiyon ki

yun hi guzre na raat khushiyon ki
kuchh to kar hum se baat khushiyon ki

tham lo tum khushi ke daman ko
mukhtasar hai hayat khushiyon ki

chhod kar gham ke tazkire sare
aao chhedenge baat khushiyon ki

gham na aae tumhaari qismat mein
gar nikalo zakat khushiyon ki

main ne apnon pe e'timad kiya
lut gai kaenat khushiyon ki

jina sikho har ek lamhe ko
gham lagae hain ghat khushiyon ki

haq-pasandi hai bas mata-e-hayat
hai yahi kaenat khushiyon ki

ja ke faran pe dekhna 'hassan'
ek hasin kaenat khushiyon ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close