ye dil tha pesh hamesha sar-e-masafat-e-ishq junun talak hi lihaza mili ijazat-e-ishq khat-e-shikasta mein kya jaane kab kashid aa jae ki sans rok ke kariyo miyan kitabat-e-ishq har ek nafas hai muhajir ki aarzi hai qiyam so shahriyat nahin deti hai ek riyasat-e-ishq ye bud-o-bash alag to nahin hai meri teri lahu ke rang mein yaksan hai jab saqafat-e-ishq wo phul ho ki sitara wo sham ho ki charagh kabhi kabhi to bahut kam padi wazahat-e-ishq dhali jo sham to kyon dil hua udas mera main jaanta hi na tha jab koi alamat-e-ishq jab ek raat mujhe khwab ek dikhaya gaya tamam ho gai us raat sab riyazat-e-ishq phir ek subh mujhe nind se uthaya gaya utha ke mujh ko ata ki gai niyabat-e-ishq bahut se kaam kiye main ne zindagi mein magar jo ek sajda ada ho gaya ba-haalat-e-ishq