zabanen chup rahen lekin mizaj-e-yar bolega ki tu ba-zarf hai kitna tera kirdar bolega nai naslon ko kis ne kya diya hai dekhiye lekin mere ashaar mein tahzib ka mear bolega wo jis ne khae hain dhoke mohabbat kar ke apnon se wahi to khun ko pani gulon ko khar bolega jahan sach baat kahne ka ho matlab jaan se jaana usi mahfil mein bas apna dil-e-khuddar bolega wahan aamal ko apne koi jhutla na paega ki ye hissa badan ka jab sar-e-darbar bolega koi mane na mane par mohabbat hi haqiqat hai abhi main kah raha hun kal yahi akhbar bolega agar khamosh kar bhi di zaban rasm-e-mohabbat mein sar-e-mahfil magar 'shayan' ka kirdar bolega