zindagi tera bol-baala hai tujh se har samt hi ujala hai tum kuen ke qarib baithe ho hum ne sagar khangal dala hai kis taraf se najat paun main har taraf makdiyon ka jala hai tujh ko kis samt khojne jaun kahin masjid kahin shiwala hai apni yaadon ki dijiye shabnam zindagi aag hai jawala hai apni nazron ko de ke aazadi mustaqil tum ne dard pala hai zist ko 'shauq' tum na samjhoge is ka har bhed hi nirala hai