waqt se pahle hi tabdil shabahat kar di

waqt se pahle hi tabdil shabahat kar di
munakis khwab ke shishe mein haqiqat kar di

sari zakhmi mere lahje ki riwayat kar di
ashk ne aankh mein aate hue muddat kar di

zakhm jitne bhi the sine mein wo bahar lae
aur har ek ko samajhne mein suhulat kar di

mar gae marne se pahle hi teri chahat mein
muntaqil sans ke chalte hi wirasat kar di

aankh ne hi mujhe dikhlae hain sare manzar
aankh ne hi meri mahdud basarat kar di

koi bhi bojh mere sine ke andar na raha
gham ne is bar meri taza tabiat kar di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close