wo jo shikwe kar rahe the talkhi-e-haalat ke aa gae zad mein sabhi be-mausami barsat ke pahle pahle main kisi bhi baat par rota na tha phir meri aankhon mein kheme lag gae sadat ke kholi jab us khub-ru ne bazm mein apni zaban phul khilne lag gae har samt mauzuat ke us se badh kar kaun kar sakta hai zeb-e-dastan jis ne sau matlab nikale hain tumhaari baat ke istikhare mein jab aaya hai ki donon ek hon phir masail kis liye hain maslakon ke zat ke kah raha hai aaj bhi aashur ki shab ka charagh bujh rahe hain din ke andhere mein suraj raat ke