waraq waraq sa bikharta kitab-e-gham jaisa

waraq waraq sa bikharta kitab-e-gham jaisa
milega shahar mein shayad hi koi hum jaisa

har ek shab-e-guzishta ko dawaten de kar
manae jashn-e-hasin koi jashn-e-gham jaisa

kabhi wo anjuman-e-dil kabhi wo sirf sukut
kabhi wo had se tajawuz kabhi wo kam jaisa

gale laga ke jise khub roe khub hanse
kabhi mila hi nahin koi hum se hum jaisa

main ek pyas ka sahra azim la-mahdud
wo ek tawil samundar magar hai kam jaisa

wo dur dur ka manzar main lamha lamha talash
wo faslon ki tarah main qadam qadam jaisa

huzur-e-ishq ki is bargah mein 'sajid'
hamein khitab mila hai janab-e-ghum jaisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close