wasl mein aapas ki hujjat aur hai is shakar-ranji mein lazzat aur hai kuchh nahin wada-khilafi ka gila aap se hum ko shikayat aur hai subh hote hi badal jaegi aankh raat bhar un ki inayat aur hai waz kahta hai jo mai-khane ke pas mai-kasho waiz ki niyat aur hai sans ukhdi hai tere bimar ki ab koi dam ki musibat aur hai huren bhi achchhi hain ai zahid magar in pari-zadon ki surat aur hai ilm jauhar hai 'hafiz' insan ka sach hai lekin aadmiyat aur hai