zindagi zahr ka ek jam hui jati hai kya se kya ye mai-e-gulfam hui jati hai kuchh gizari hai gham-e-ishq-o-mohabbat mein hayat kuchh supurd-e-gham-e-aiyyam hui jati hai phir kisi mard-e-barahim ka mohtaj hai dahr phir wahi kasrat-e-asnam hui jati hai hawas-e-sair-e-tamasha hai ki hoti nahin khatm zindagi hai ki subuk-gam hui jati hai jo kabhi khaliq-e-hangama-e-tufan thi wo mauj haif khu-karda-e-aram hui jati hai sohbat-e-pir-e-mughan mein ye khuli azmat-e-ishq aql bhi durd-e-tah-e-jam hui jati hai tum jo aae ho to shakl-e-dar-o-diwar hai aur kitni rangin meri sham hui jati hai