wo ham-kanar hai jam-e-sharab hath mein hai baghal mein chand hai aur aaftab hath mein hai pila ke pir ko saghar jawan banata hai maza hai pir-e-mughan ke shabab hath mein hai bar aai aaj mere dil ki aarzu sad shukr ki daman aap ka roz-e-hisab hath mein hai ye aae kis ke qadam dast-e-mauj se dariya liye hue jo kulah habab hath mein hai araq visal mein ponchha hai gul se galon ko yahi hai wajh ki bu-e-gulab hath mein hai bin aai hai mere dast-e-hawas ki wasl ki shab hina lagae jo wo mast-e-khwab hath mein hai hawa se tez wo aata hai nama-bar mera niyaz-name ka mere jawab hath mein hai khile hain gul gul aariz ke wasf mein sar-e-dast qalam mera hai ki shakh-e-gulab hath mein hai 'hafiz' aap ka diwan ye hua maqbul ki jis ko dekho liye ye kitab hath mein hai