wasl mein KHush kabhi dil hijr mein jalte dekha

wasl mein khush kabhi dil hijr mein jalte dekha
rang nairang-e-jahan se ye badalte dekha

uf re ai dard-e-judai tere sadme shab-e-hijr
dil ki aankhon se lahu ho ke nikalte dekha

dagh par dagh uthae jo likha tha wo hua
sach hai qismat ke nawishta ko na talte dekha

kuchh to hai lutf-e-mohabbat mein jo hote hain fana
shama parwana ko har bazm mein jalte dekha

dekh kar chaliye zamane ka nasheb aur faraaz
kha ke thokar jo gira phir na sanbhalte dekha

kaun hota hai bure waqt mein ai yar sharik
khak par chhod ke tan ruh ko chalte dekha

dagh-e-taza diye nairang-e-falak ne us ko
bagh-e-alam mein jise phulte phalte dekha

waqt ki qadr na ki lahw-o-lab mein jis ne
umr bhar dast-e-tassuf use malte dekha

ho mere samne kya khak muqabil ko farogh
khota sikka kahin bazar mein chalte dekha

furqat-e-talib-o-matlub ghazab hai 'raushan'
jaan ko jism se ruk ruk ke nikalte dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close