waslat ki shab mein bhi wahi baqi raha lihaz ghungat utha na rukh se na un ka gaya lihaz pilwaega tu baada-e-be-kaif khuld mein saqi hai baada-noshon ko tera bada lihaz lo lal dore padne lage chashm-e-yar mein ab lutf-e-mai-kashi hai ki uthne laga lihaz shab wasl ki tamam hui baat bhi na ki aisa bhi kya hijab hai aisa bhi kya lihaz zahid jama ye bazm mein uthta hi ab nahin saqi pila sharab ki ab ho chuka lihaz wo kar chuke ulush to chala daur-e-jam-e-mai rindon ne shaikh ji ka kiya to bada lihaz 'akbar' jo mohtasib nahin uthta piyo sharab us ko nahin khayal to rindon ko kya lihaz