zara nigah uthao ki gham ki raat kate nazar nazar se milao ki gham ki raat kate ab aa gae ho to mere qarib aa baitho dui ke naqsh mitao ki gham ki raat kate shab-e-firaq hai sham-e-umid le aao koi charagh jalao ki gham ki raat kate kahan hain saqi-o-mutrib kahan hai pir-e-haram kahan hain sab ye bulao ki gham ki raat kate kahan ho mai-kade walo zara idhar aao hamein bhi aaj pilao ki gham ki raat kate nahin kuchh aur jo mumkin to yar 'shola' ki koi ghazal hi sunao ki gham ki raat kate