ye iztirab dekhna ye intishaar dekhna

ye iztirab dekhna ye intishaar dekhna
sahar na ho kahin zara pas-e-ghubar dekhna

ye khastagi ka faiz hai ki jis ne aankh mund kar
sikha diya mujhe badan ke aar-par dekhna

shikast kha chuke hain hum magar aziz fateho
hamare qad se kam na ho faraaz-e-dar dekhna

guzar gai jo mauj us ki yaad hi fuzul hai
magar ho us ka mud ke mujh ko bar bar dekhna

mera khulus dekhna ki mahw-e-intizar hun
use bhala chuka hun kaif-e-intizar dekhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close