wo barsat ki shab wo pichhla pahar andhere ke pahlu mein sunsan ghar khulenge abhi aur kis kis ke dar kahan khatm hoga lahu ka safar kuchh apne aqaed bhi kamzor the larazte the sae bhi diwar par ujale simatte rahe aankh mein sitare bikharte rahe farsh par badan mein pighalti rahi chandni lahu mein sulagti rahi dopahar kabhi khak walon ki baaten bhi sun kabhi aasmanon se niche utar qadam ghar mein rakhte hi ghayal hua gire tut kar mujh pe diwar-o-dar