wo dekhte jate hain kanakhiyon se idhar bhi chalta hua jadu hai mohabbat ki nazar bhi uthne ki nahin dekhiye shamshir-e-nazar bhi pahle hi lachakti hai kalai bhi kamar bhi phuten meri aankhen jo kuchh aata ho nazar bhi duniya se alag chiz hai furqat ki sahar bhi saqi kabhi mil jae mohabbat ka samar bhi in aankhon ka sadqa koi saghar to idhar bhi betab hun kya chiz chura li hai nazar ne hone ko to dil bhi hai mere pas jigar bhi ghar samjha hun jis ko kahin turbat to nahin hai aati hai yahan sham ki surat mein sahar bhi khamosh hun main aur wo kuchh puchh rahe hain mathe pe shikan bhi hai inayat ki nazar bhi us ke lab-e-rangin ki nazakat hai na rangat ghunche bhi bahut dekh liye hain gul-e-tar bhi aati hai nazar dur hi se husn ki khubi kuchh aur hi hoti hai jawani ki nazar bhi hatti hai jo aaina se pad jati hai dil par kya shokh nazar hai ki udhar bhi hai idhar bhi bimar-e-mohabbat ka khuda hai jo sambhal jae hai sham bhi makhdush judai ki sahar bhi mai-khana-e-ishrat na sahi kunj-e-gareban aankhon ke chhalakte hue saghar hain idhar bhi mil jaen agar mujh ko to main khizr se puchhun dekhi hai kahin sham-e-judai ki sahar bhi ai shauq-e-shahadat kahin qismat na palat jae bandhi to hai talwar bhi qatil ne kamar bhi ai dil teri aahen to sunin kanon se hum ne ab ye tu bata us pe karengi ye asar bhi ek rashk ka pahlu to hai samjhun ki na samjhun gardan bhi hai kham aap ki nichi hai nazar bhi kuchh kan mein kal aap ne irshad kiya tha mushtaq usi baat ka hun bar-e-digar bhi sofar bhi rangin kiye hath bhi us ne aaya hai bade kaam mera khun-e-jigar bhi chhupti hai koi baat chhupae se sar-e-bazm udte ho jo tum hum se to udti hai khabar bhi yun hijr mein barson kabhi lagti hi nahin aankh so jata hun jab aa ke wo kah deti hain mar bhi khulta hi nahin bekhud-e-badnam ka kuchh haal kahte hain farishta bhi use log bashar bhi