wo harf-e-gham jo zaban se kabhi ada na hua hazar rang se unwan har fasana hua ba-juz dua-e-sahar aur mil saka na kahin wo soz-o-saz ki jaan-e-gham-e-shabana hua hum aur soz-e-mohabbat hum aur nur-e-wafa magar kisi ki tawajjoh se kya ata na hua har ek lamhe se pae hain taza gham hum ne har ek lamha nai umr ka bahana hua sab apne apne ujalon mein gum rahe 'fitrat' sharik meri shab-e-gham mein koi tha na hua