wo dil nahin hai jis mein teri aarzu na ho wo gul nahin nasib jise rang-o-bu na ho dil jitne ko yar ka jata hai bazm mein koshish mein kaamyab khudaya adu na ho aata nahin hai sher mere zehn mein koi jab tak ki wo hasin mere ru-ba-ru na ho duniya pe dil ki baat na khul jae is liye nazron se ho zaban se agar guftugu na ho baqi shab-e-firaq hai dil ho gaya tahi phir aankh kaise roe jo dil mein lahu na ho ai rab hamare dil mein bhi aa kar qiyam kar auqat us ki kya hai ki jis dil mein tu na ho 'zakir' amal se bante hain insan zi-waqar zinda nahin wo log jinhen justuju na ho