wo husn-e-sim-tan hai aur main hun tar-o-taza chaman hai aur main hun visal us ka nasibon se mila hai wo khushbu sa badan hai aur main hun khinchi shamshir sa baitha hai koi kisi ka bankpan hai aur main hun sahar tak aaj to mahkegi mahfil wo jaan-e-anjuman hai aur main hun gharaz duniya se kuchh mujh ko nahin hai mera diwana-pan hai aur main hun chalegi guftugu ta-umr yunhi wo mera ham-sukhan hai aur main hun use pana hai 'zakir' pa hi lunga mere dil ki lagan hai aur main hun