ye tere hijr ka mausam sarab jaisa hai

ye tere hijr ka mausam sarab jaisa hai
har ek lamha musalsal azab jaisa hai

labon pe us ke tabassum ke phul khilte hain
wo ek chehra moattar gulab jaisa hai

kisi ne jam uthaya kisi ki zulf khuli
hawa ke dosh pe mausam sahab jaisa hai

ba-nam-e-lala-rukhan kuchh to zahr-e-gham pi len
tere labon mein halahil sharab jaisa hai

wo mere pas hai lekin ye haal hai apna
sukun dil ka bhi ab iztirab jaisa hai

qarar-e-jaan bhi wahi iztirab-e-jaan bhi wahi
wo ek shakhs mujassam-shabab jaisa hai

khalish hai dil mein kasak si hai bekali bhi hai
'saba' ye hosh ka aalam bhi khwab jaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close