zindagi khwab bhi hai fitna-e-bedar bhi hai naghma-e-amn bhi hai nara-e-paikar bhi hai shauq-e-nazzara bhi hai jalwa-gah-e-yar bhi hai dekhna hai ki hamein jurat-e-didar bhi hai kaun hai jis ko nahin dawa-e-irfan-e-khudi is haqiqat se magar koi khabar-dar bhi hai inqilabaat ka kya gham ki unhi ke dam se raunaq-e-bazm bhi hai garmi-e-bazar bhi hai kuchh to khud husn ko hai jalwa-numai se gurez aur kuchh maslahat-e-talib-e-didar bhi hai garmi-e-ishq mein donon hain barabar ke sharik shama ke soz mein parwane ka kirdar bhi hai apne mahaul ki na-qadri-e-paiham ka shikar aaj ka fan hi nahin aaj ka fankar bhi hai zindagi ishrat-e-paiham hi nahin hai 'jauhar' zindagi jehd-e-musalsal ki talabgar bhi hai