wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujh ko aur dhundega kahin mere alawa mujh ko kis qadar us ko sarabon ne sataya hoga dur hi se jo samajhta raha chashma mujh ko meri ummid ke suraj ko dubo ke har sham wo dikhata raha dariya ka tamasha mujh ko jab kisi raat kabhi baith ke mai-khane mein khud ko bantega to dega mera hissa mujh ko phir saja dega wo yaadon ke ajaib-ghar mein soch kar ahd-e-junun ka koi sikka mujh ko mere ehsas ke dozakh mein sulagne ke liye chhod dega mere khwabon ka farishta mujh ko phir ye hoga ki kisi din kahin kho jaega ek dorahe pe bitha ke mera rasta mujh ko log kahte hain ki jadu ki sadak hai mazi mud ke dekhungi to ho jaega sakta mujh ko sabz mausam ki inayat ka bharosa bhi nahin kab uda de ye hawa jaan ke patta mujh ko waqt hakim hai kisi roz dila hi dega dil ke sailab-zada shahr pe qabza mujh ko main na laila hun na rakhta hai wo majnun ka mizaj us ne chaha hai magar mere alawa mujh ko