wo saat surat-e-chaqmaq jis se lau nikalti hai

wo saat surat-e-chaqmaq jis se lau nikalti hai
talash-e-admi ke zawiye kya kya badalti hai

kabhi ek lau se shashdar hai kabhi ek zau se hairan hai
zamin kis inkishaf-e-nar se yarab pighalti hai

taghayyur ki sadi hai aatishin khwabon ki paikaren
rasad-gahon ke aainon mein ek tabir dhalti hai

nazar ko ek ufuq taza-e-rukhi se teri milta hai
wafa us fasle ka raaz pa kar khud sambhalti hai

nigah-e-naz sab ramz-e-mohabbat kah gai aakhir
khirad ki parda-dari kya kaf-e-afsos malti hai

lahu mein aap jal uthti hai koi sham-e-khalwat si
visal-andaz us ke khwab mein jab raat dhalti hai

riwayat ki qanaten jis hawa se jalne wali hain
sawad-e-asia mein wo hawa ab tez chalti hai

waraq ek dhund ka taza taghayyur jab ulatta hai
tarashida rukh-e-almas si ek lau nikalti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close