kuchh to hawa bhi sard thi kuchh tha tera khayal bhi dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi baat wo aadhi raat ki raat wo pure chand ki chand bhi ain chait ka us pe tera jamal bhi sab se nazar bacha ke wo mujh ko kuchh aise dekhta ek dafa to ruk gai gardish-e-mah-o-sal bhi dil to chamak sakega kya phir bhi tarash ke dekh len shisha-giran-e-shahr ke hath ka ye kamal bhi us ko na pa sake the jab dil ka ajib haal tha ab jo palat ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi meri talab tha ek shakhs wo jo nahin mila to phir hath dua se yun gira bhul gaya sawal bhi us ki sukhan-taraaziyan mere liye bhi dhaal thin us ki hansi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi gah qarib-e-shah-rag gah baid-e-wahm-o-khwab us ki rafaqaton mein raat hijr bhi tha visal bhi us ke hi bazuon mein aur us ko hi sochte rahe jism ki khwahishon pe the ruh ke aur jal bhi sham ki na-samajh hawa puchh rahi hai ek pata mauj-e-hawa-e-ku-e-yar kuchh to mera khayal bhi