wo hai hairat-faza-e-chashm-e-mani sab nazaron mein tadap bijli mein us ki iztirab us ka sitaron mein madad ai iztirab-e-shauq tu jaan-e-tamanna hai nikal ai sabr tera kaam kya hai be-qararon mein ye kis ka nam le kar jaan di bimar-e-ulfat ne ye kis zalim ka charcha rah gaya timar-daron mein zara si chhed bhi kafi hai mizrab-e-mohabbat ki ki naghme muztarib hain barbat-e-hasti ke taron mein kahan ka shaghl ab to daur hai khun-naba-e-gham ka wahi qismat mein thi jo pi chuke agli bahaaron mein