wo hasin baam par nahin aata chand apna nazar nahin aata huk uthti nahin hai kab dil se munh ko kis din jigar nahin aata kaun is bekasi mein pursan hai hosh do do pahar nahin aata ye bhi sunna tha wae nakaami marte hain aur mar nahin aata thi kabhi baat baat mein tasir ab dua mein asar nahin aata khel hai kya mizaj-dan hona kaam ye umr bhar nahin aata sadgi ka hun us ki diwana abhi jis ko sanwar nahin aata be-khudi hai ki chhai jati hai hosh aata nazar nahin aata ye hasin aur iltijaen 'hafiz' rahm tum ko magar nahin aata