wo hamein jis qadar aazmate rahe apni hi mushkilon ko badhate rahe wo akele mein bhi jo lajate rahe ho na ho un ko hum yaad aate rahe yaad karne pe bhi dost aae na yaad doston ke karam yaad aate rahe aankhen sukhi hui naddiyan ban gain aur tufan ba-dastur aate rahe pyar se un ka inkar bar-haq magar lab ye kyun der tak thartharaate rahe thin kamanen to hathon mein aghyar ke tir apnon ki jaanib se aate rahe kar liya sab ne hum se kinara magar ek naseh gharib aate jate rahe mai-kade se nikal kar janab-e-'khumar' kaba o dair mein khak udate rahe