ye zauq pech-o-tab ka ye raqs mauj-e-ab ka ajib rang hai hamare dil ke iztirab ka ye zindagi ye be-kanar ranj-o-gham ki dastan ye zindagi khayal hai jawaniyon ke khwab ka meri guzarishat ke jawab mein ye khamushi mujhe guman na tha is intiha-e-ijtinab ka teri nigah hai ki kaif-e-taza ka payam hai teri nigah hai ki daur hai sharab-e-nab ka wo mere ranj-o-gham ne ham-nafas talash kar liya wo phika pad gaya hai rang ru-e-mahtab ka gharib 'fitrat' aaj-kal khamosh-o-girya-kosh hai kabhi to rang dekh us ke dida-e-pur-ab ka