yahi masala hai jo zahido to mujhe kuchh is mein kalam hai wahi shai halal hai khuld mein wahi mai-kade mein haram hai meri aankh mein jo sama gaya mere dil mein jis ka maqam hai abhi mujh se hai wo alag-thalag na payam hai na salam hai yahi kahna us se payambar ki bas aakhiri ye payam hai jo zara bhi jaane mein der ki to kisi ka kaam tamam hai kabhi qata ki meri guftugu kabhi kah diya mujhe kya hai tu ye bata tu o but-e-jang-ju koi ye bhi tarz-e-kalam hai koi zikr ghair ka ye na tha jise aap sun ke hue khafa mujhe apne bakht se hai gila mujhe apne dil se kalam hai jo chala to bazm-e-surur mein jo raha to aalam-e-nur mein mere dil mein kaif-e-mudam hai mere sar mein gardish-e-jam hai wahi shikwa tujh ko raqib ka wahi rona apne nasib ka ye bata tu o dil-e-mubtala tujhe aur bhi koi kaam hai mera nam le ke na kosiye ye kaha to hans ke wo bol uthe mujhe kya khabar thi zamane mein faqat aap hi ka ye nam hai mujhe kufr o din se gharaz nahin ki main ek banda-e-ishq hun koi shaikh ho ki ho barahman mera dur hi se salam hai wahi aasman hai wahi zamin magar aankh us ki jo phir gai na wo din hai ab na wo raat hai na wo subh hai na wo sham hai bahut aur mahir-e-fan hain yun bahut aur ahl-e-sukhan hain yun magar aa gaya jo pasand unhen wo 'hafiz' hi ka kalam hai