wo hont jo kisi sazish ke tane-bane lage jawab ban nahin paya to muskurane lage muarrikhin batate hain do dilon se uthi hamein jo aag bujhate hue zamane lage hamare ahd mein ek ilm hai maishat bhi hamare ahd ke suqraat bhi kamane lage hamara us se bichhadna bhi raegan hi gaya use thikana mila hai na hum thikane lage gali mein raat achanak hi chand sae uthe aur us ke kamre ka darwaza khatkhatane lage kamand jin ko sitaron pe dalni thi 'raaz' wo sar-phire to zamin par diye bujhane lage