wo mujh mein tha nihan main dekhta kya pas-e-diwar-e-jaan main dekhta kya kitab-e-zindagi zer-e-nazar thi hadis-e-dil-baran main dekhta kya mujhe chalna tha apne raste par niahan-e-raftgan main dekhta kya nazar mein tha wo mahtab-e-tamanna jamal-e-kahkashan main dekhta kya fana ki zad pe tha bazar-e-duniya yahan sud-o-ziyan main dekhta kya meri aankhen bhari thin aansuon se sar-e-shahar-e-fughan main dekhta kya thikana tha mera dasht-e-junun mein khirad ki bastiyan main dekhta kya meri majburiyan bhi kam nahin thin teri majburiyan main dekhta kya use jab imtihan lena nahin tha nisab-e-imtihan main dekhta kya meri parwaz thi 'shahid' falak par zamin ki pastiyan main dekhta kya